RAJAA-AT SHARIFA


RAJAA-AT SHARIFA•
*********************
HIQAYAT:-
**********
Hazrat Halima Sayyada Radi-Allahu-Ta'aala-Anha farmati hain ki jab main Macca Moazzama may pahuchi aur Huzoor Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam ke ghar aayi to maine dekha ki jis kamre may Huzoor Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam tashrif farma the! wo kamra saara chamak raha tha! maine Hazrat Aamina se pucha ki kya us kamre may bahoat chiraag jala rakkhe hain? Hazrat Aamina ne jawab diya, nahi! balki yeh saari roshni mere pyare bacche ke chehre ki hain! Halima farmati hain, main ander gayi to Huzoor ko dekha ki aap sidhe lete hue so rahe hain! apni mubarak nannih ungliyan choos rahe hain! main aapka husn wa jamaal dekhker farefta ho gayi aur Huzoor ki mohabbat mere baal-baal may rachgayi!

Fir main Huzoor ke sir-a-mubarak ke paas bait gayi! Huzoor ko uthaker apne seene se lagane keliye hath badaya to Huzoor ne apni chashmaan-a-mubarak khol li! mujhe dekhker muskurane lage! Allah-Hu-Akbar! Maine dekha ki is noor bhare mooh se ek aisa noor nikla jo aasmaan tak pahuch gaya! fir maine Huzoor ko uthaker apna dayan dudh aapke mooh mubarak may daala to aap nosh farmane lage! bayan dudh mooh mubarak may daalna chaha to rukh-a-pak fher liya! dudh na piya! kyonki mera apna ek baccha tha! Huzoor ne insaaf farmaker dudh ka yeh hissa apne dudh sharik keliye rehne diya! main fir Huzoor sallallahu-ta'aala-alaihi-wasallam ko leker wapas chalne lagi to hazrat abdul muttalib ne jaderah keliye kuch dena chaha! to maine kaha, ki Mohammad Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam ko paalne ke baad ab mujhe kisi chiz ki haajat nahi!

Halima farmati hain ki jab main is nemat Uzma ko goadh may leker baaher nikli to mujhe har chiz se mubarak-baad ki awaaz aane lagi! aye Halima! rajaa-at Mohammad Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam ki tujhe mubarak ho!

Fir main jab apni sawaari per baithi to meri kamjor sawaari may wo bijli jaisi takat paida hogayi ki wo badi-badi tawana unthni ko piche chodne lagi! sab hairaan reh gaye ki halima ki sawaari may ek dam yeh takat kaisi aagayi? to meri sawaari khud boli-

meri pusht per awwaleen aakhireen ke sardar sawaar hain! unih ki barkat se meri kamjori jati rahi aur mera haal accha hogaya!

(Jaami-Ul-Moajijaat Pg-86)

********************************
sabak:-
*********
Hamare Huzoor Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam noor aala noor hain! baatini bhi aur jaahiri bhi, yeh bhi malum hua ki Huzoor Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam ko bachpan sharif may bhi yeh ilm tha, ki Halima meri dudh pilane wali hain! mere dudh may dusra baccha bhi sharik hain! fir agar koi shaks Huzoor Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam ke ilm may kalaam karne lage to wo kis-qadr jaahil hain!

yeh bhi malum hua ki jis ummat ko aisa azimush-shaan Rasool (Sallallahu-Ta'aala-Alaihi-Wasallam) mila ho wo ummat badi khush-kismat hain!

yeh bhi malum hua ki hum gunahgar sahi magar Huzoor ki badaulat jannat may jate hue hum tamaam ummaton se aage hoge!

Tauseef Azhar

Phasellus facilisis convallis metus, ut imperdiet augue auctor nec. Duis at velit id augue lobortis porta. Sed varius, enim accumsan aliquam tincidunt, tortor urna vulputate quam, eget finibus urna est in augue.

No comments:

Post a Comment

Please provide your comments, and let us know about your views and ideas. If you found anything wrong please post it soon so as we can correct it, however, we pay strict attetion while posting any islamic material.